Seat to Bahot achchi hai aapke gaadi ki.
3 saal se hai. 2009 me gadi Li thi. Tab se. Uske Pehle fiat thi. Ye isiliye Li kyoonki sasti thi. Aur maintenance Bahot kam hai. 50 saal se gaadi chala raha hoon. Bachchon ne bola ki ab gaaon jao. Araam se raho. Lekin humne gadi le li. 15 – 20 din gaon jate hain to gaadi padi rehti hai. Kiskiko dete nahi hain chalane ke liye. Sirf mai chalaata hoon. Kisi aur ko do to repair ka bill jyaada lamba aata hai. Ladke log Aaj Kal ke. Colaba se borivalli ka passenger daal ke udaate hain gaadi. Sab jaanta hoon. Neeche floor mat doosri Taraf ka bhi tha. Bachche logon ne idhar udhar kar diya. Ladke loge Aaj Kal ke.

